Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye Tips

Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye Tips

Aapne aksar dekha hoga ki kuch din tak istemaal karne ke baad aapke mobile phone ki speed kam hone lagti hai. Hum sabhi chahte hain ki hamare mobile ki speed hamesha tez hi rahe. Apke mobile aur operating system ki bhi kuch upayon se speed tez ho sakti hai. Aaiye jaane kya hain who upay jinse aap apne Mobile Phone Ka Speed Kaise badha sakte hain.

Mobile ko update rakhen
Aapke paas android ya windows jo bhi mobile hai usay apko update rakhna chahiye. Google mein search kar har mobile aur uskay model number se sambandhit sanshodhan pata kiye jaa sakte hain. Search mein who site milti hain jo upko aapke mobile ko update kar deti hain aur uskay operating system ke liye aavshyak service pack install kar deti hain. Is prakar apka mobile update ho jaane par tez speed se kaam karega.
Bekar App ko hatayen
Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye, Jab bhi aap koi App apne mobile mein install karte hain to woh  kuch jagah awashya gherta hai. Issay mobile ki speed dheeree hone lagti hai. Jitni zyada aapke mobile mein jagah ghiri rahegi utna hi aapka mobile slow ho jaayega. Isliye woh App jo aap kabhi bhi use nahin karte unhen uninstall kar den. App ko nimna prakar uninstall karen.
Sabse pehle Setting select karen. Iskay baad Application Manager select karen. Iskay baad All tab select karen. Iskay baad list aayegi unmen se who App select kare jinhen aap unistall karna chahte hain. Iskay baad Unsitall ko select kar sabhi App ko uninstall kar den.
App ko disable karen
App ko uninstall karne aur disable karne mein antar hai. Uninstall un App ko karen jo aap kabhi use nahin karenge jisse woh mobile se hamesha ke liye hat jaayenge. Par kuch App aise bhi hote hain jo abhi istemaal mein nahin aa rahe hain par baad mein istamaal mein aa skte hain. Aise App ko disable karke rakhen. App diable hone ke baad mobile mein hi rahenge par karya nahin karenge. Jisse mobile ki speed badh jaayegi. Jab aapko phir se App chahiye to unhen enable kar dijiye. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).
App ko update karen
Jo App aap istemaal karte hain unhen update karte rahen.  App ko tab update karne ka prayas kijiye jab woh Google Play par uplabdh hon. Update karne se aapke App mein naye features jud jaayenge aur update huye App accha aur tez karya karenge jisse aapke mobile ki speed aur badh jaayegi. Jane
Live wallpaper ko nahin len
Alag-alag mobile alag-alag live wall paper ke saath aate hain lekin ye wall paper na sirf zyada storage lete hain balki mobile ki gati ko bhi dheera kar dete hain aur battery ko bhi jaldi discharge kar dete hain.  Isliye yadi aap apne mobile phone ki speed badhana chahte hain to aise Live wallpaer ka istemaal karna band kar dijiye. Live wall paper ko hatane se hi apka mobile tez chalne lagega. Padhe
Tez speed wala memeory card istemaal karen
Memory card aapke mobile phone ki who jagah hai jahan aapka mobile phone ka data sanchit hota hai. Jin mobile ki aantrik memory kam hoti hai unmay agar zyada shamta wala memory card dal den to mobile tez gati se karya karne lagte hain. Bazaar mein 2 GB se 32 GB tak ke tez gati ke memory card uplabdh hain jinke istemaal se aapke mobile ki speed badh jayegi. (Mobile Phone Ka Speed Kaise Badhaye).

Post a Comment

Jankari Acchi Lage To Comment Jarur Kare

Previous Post Next Post