Successful Blogger Banne Ke Tips

Dosto Blogging aaj ke date me ek popular Profession banta ja rha hai. Bahut se log ab Blogging field me aa rhe hai. Lekin maine dekha hai ki log Blogging Start to kar lete hai par thode hi dino me unka intrest Blogging se kam ho jata hai. Aisa isliye hota hai ki log sirf paisa dekhte hai, ve intejar nahi karna chahte. Blogging ek aisa Career hai jisme set hone ke liye hume time lagta hai aur suru me bahut se paresaniya bhi aati hai. par jisne suru me Strugle kar ke bhi Blogging nahi chhoda ve aaj achhe Blogger ban gaye hai. Isliye aaj main apko Successful Blogger banne ke kuch itresting Tips dunga jisse aap lambe samay tak Blogging kar sake.


Successful Blogger Banne Ke Tips :~

1. Blogging Start karne se pahle –
Blogging Start karne se pahle main apko bata dena chahta hun ki aap Blogging tabhi kare jab apka isme pura intrest ho. Kyonki maine aksar dekha hai ki log paise kamane ke liye Blogging Start to kar dete hai par unka intrest paise me hone ke karan ve jaldi hi Blogging chhod dete hai.
Blogging field me utarne se pahle apne andar ek sankalp kare ki kitni bhi muskil aaye par aap Blogging chhodenge nahi.



2. Blogging suru karne ke bad –
Blogging suru karne ke bad aise chijo ke bare me Post likhe jisme apka intrest jyada ho aur uske bare me apko jankari bhi puri ho. Aisa karne se aap lambe samay tak Blogging ka maza le sakte hai. Agar aap apni intrest ki Post likhenge jisme apko maza aata ho to apko uske bare me Thought achhe ayenge, apko Post likhne me kathinai nahi hogi. Apko jis chij me jyada intrest ho for Example – Computer, Gadget, Cricket, Motivation ya fir Internet etc. aap in me se kisi ek topic pe likh sakte hai.


3. Dhary (धैर्य) rakhe –
Agar aap Successful Blogger banana chahte hai to thoda dhary(धैर्य) bhi rakhe Kyonki ho sakta hai suru me apko kabhi pareshaniya aaye. kuch bhi ek din me nahi hota, har shetra (क्षेत्र) me safal hone ke liye time lagta hai. Jab Maine Blogging Start kiya tha tab mujhe bhi kabhi kathinaiyon ka samna karna pada tha. Lekin maine dhary (धैर्य) rakha kyonki main janta tha ki Blogging karne me suru me pareshaniya aati hai…
So Blogging karte rhe dhire-dhire sab set ho jayega.

Image result for blogging pictures
 4. Blogging karne ka udesya (उद्देस्य) longo ki help karna rakhe –
Blogging se paise har koi kamana chahta hai par sirf paisa hi nahi dekhe balki longo ki help bhi kare.
Mera matlab hai ki bahut se log paisa kamane ke chakkar me idhar-udhar se jo pahle se hai vahi Post fir se likhte hai. Aisa bilkul bhi na kare, jitna ho sake New aur Unique jankari apne Post me likhe jisse longo ko help mil sake.

5. Aisi jankari na de jisse longo ko nuksan ho –
Aap apne Website(Blog) me achhi jankariya de aisi jankariyan ya cotent bilkul bhi na dale jisse longo ko nuksan ho. Porn aur Adult Cotent dalne ka to sochiyega bhi mat kyonki isse ek to aapki chhavi (छवि) kharab hogi aur ye Google Cookies policy ke khilaf bhi hai. Aap Google Adsense ke ads nahi laga sakenge.

6. Khud ko humesa Motivate rakhe –
Maine apne Website ke suruwat me Low Of Attraction ke bare me bataya tha, yakin maniye ye hum pe act karta hai. Iska proof khud main hun. Har ek chij jo maine chaha tha pa liya, aur bahut se chij abhi pana baki hai jo main pa hi lunga.
So aap khud ko humesha Motivate aur Possitive rakhe, Kyonki apko ek Successful Blogger babana hai.
Dosto aasha karta hu ye Tips apko lambe samay tak blogging karne me madat karega.
Ye jankari apko kaisi lagi hume Comments kar ke jarur bataye..
Humare naye Post ki jankari pane ke liye hume Subscribe bhi jarur kare….All The Best !!



Post a Comment

Jankari Acchi Lage To Comment Jarur Kare

Previous Post Next Post